bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai
bhulā paanā bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahtā hai
mohabbat karne vaalā is liye barbād rahtā hai
agar sone ke piñjḌe meñ bhī rahtā hai to qaidī hai
parinda to vahī hotā hai jo āzād rahtā hai
chaman meñ ghūmne phirne ke kuchh ādāb hote haiñ
udhar hargiz nahīñ jaanā udhar sayyād rahtā hai
lipaT jaatī hai saare rāstoñ kī yaad bachpan meñ
jidhar se bhī guzartā huuñ maiñ rasta yaad rahtā hai
hameñ bhī apne achchhe din abhī tak yaad haiñ 'rānā'
har ik insān ko apnā zamāna yaad rahtā hai
bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai
mohabbat karne wala is liye barbaad rahta hai
agar sone ke pinjDe mein bhi rahta hai to qaidi hai
parinda to wahi hota hai jo aazad rahta hai
chaman mein ghumne phirne ke kuchh aadab hote hain
udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rahta hai
lipaT jati hai sare raston ki yaad bachpan mein
jidhar se bhi guzarta hun main rasta yaad rahta hai
hamein bhi apne achchhe din abhi tak yaad hain 'rana'
har ek insan ko apna zamana yaad rahta hai
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.