bhuk ki kaDwahaT se sard kasile honT
bhuuk kī kaḌvāhaT se sard kasīle hoñT
ḳhuun ugalte sūkhe chaTḳhe piile hoñT
TuuTī chūḌī ThanDī laḌkī bāġhī umr
sabz badan pathrā.ī āñkheñ niile hoñT
suunā āñgan tanhā aurat lambī umr
ḳhālī āñkheñ bhīgā āñchal giile hoñT
kachche kachche lafzoñ kā ye niilā zahar
chhū jaa.e to mūrakh to bhī chhīle hoñT
zahar hī māñgeñ amrit-ras ko muñh na lagā.eñ
bāġhī ziddī vahshī aur haTīle hoñT
aisī banjar bāteñ aise kaḌve bol
aise sundar komal surḳh rasīle hoñT
itnā bologī to kyā socheñge log
rasm yahāñ kī ye hai laḌkī sī le hoñT
bhuk ki kaDwahaT se sard kasile honT
KHun ugalte sukhe chaTKHe pile honT
TuTi chuDi ThanDi laDki baghi umr
sabz badan pathrai aankhen nile honT
suna aangan tanha aurat lambi umr
KHali aankhen bhiga aanchal gile honT
kachche kachche lafzon ka ye nila zahar
chhu jae to murakh to bhi chhile honT
zahar hi mangen amrit-ras ko munh na lagaen
baghi ziddi wahshi aur haTile honT
aisi banjar baaten aise kaDwe bol
aise sundar komal surKH rasile honT
itna bologi to kya sochenge log
rasm yahan ki ye hai laDki si le honT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.