bhul baiThe sari duniya aashiqi ki KHatir
bhul baiThe sari duniya aashiqi ki KHatir
Aditya Shrivastava Shafaq
MORE BYAditya Shrivastava Shafaq
bhuul baiThe saarī duniyā āshiqī kī ḳhātir
āshiqī bhī chhoḌ dī phir naukrī kī ḳhātir
maar Daalā har ḳhushī ko ḳhāmushī kī ḳhātir
kyā nahīñ us ne kiyā merī hañsī kī ḳhātir
muflisī aisī adū ko bhī na baḳhshe maulā
bechnā ho jo charāġhāñ raushnī kī ḳhātir
jaane kitne log guzre mujh se ho kar bhaa.ī
muntazir maiñ rah gayā ik aadmī kī ḳhātir
zindagī ko zindagī samjhā nahīñ jaane kyuuñ
zindagī bhī jā rahī thī zindagī kī ḳhātir
qaid karnā chāhte the log sūraj ghar meñ
maiñ laḌā kyuuñ raushnī se tīrgī kī ḳhātir
ziist ko bhī ik tamāsha hī banā kar rakkhā
ai 'shafaq' kyā tum ne chhoḌā shā.irī kī ḳhātir
bhul baiThe sari duniya aashiqi ki KHatir
aashiqi bhi chhoD di phir naukri ki KHatir
mar Dala har KHushi ko KHamushi ki KHatir
kya nahin us ne kiya meri hansi ki KHatir
muflisi aisi adu ko bhi na baKHshe maula
bechna ho jo charaghan raushni ki KHatir
jaane kitne log guzre mujh se ho kar bhai
muntazir main rah gaya ek aadmi ki KHatir
zindagi ko zindagi samjha nahin jaane kyun
zindagi bhi ja rahi thi zindagi ki KHatir
qaid karna chahte the log suraj ghar mein
main laDa kyun raushni se tirgi ki KHatir
zist ko bhi ek tamasha hi bana kar rakkha
ai 'shafaq' kya tum ne chhoDa shairi ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.