bhul bhi jaen tujhe zaKHm purana bhi to ho
bhuul bhī jaa.eñ tujhe zaḳhm purānā bhī to ho
jī bhī leñ jiine ko jiine kā bahāna bhī to ho
ham ne sīkhā hī nahīñ tark-e-muravvat kā sabaq
baat baḌhtī hai magar baat baḌhānā bhī to ho
ab ke maqtal ko kisī mele kī zīnat kar do
phir tamāsha jo saje saath zamāna bhī to ho
dasht-dar-dasht sahī ābla-pā.ī hī sahī
aur masāfat hī sahī koī Thikāna bhī to ho
aao yārān-e-jafā! zaḳhm kuredo dil ke
bazm-e-yārāñ hai zarā jalnā-jalānā bhī to ho
shab kī zulmat kī qasam shab meñ ujālā kar deñ
ham charāġhoñ sā jaleñ to kahīñ aanā bhī to ho
ham jo chāheñ to tirā naqsh miTā deñ dil se
haañ magar dil se tirā naqsh miTānā bhī to ho
ham ko maslūb karo lāsha jalā do chāhe
qabl-e-ta.azīr koī sunñā-sunānā bhī to ho
shaah jī raat ga.e der ga.e tak bhaTko
kaisī tāḳhīr kahīñ lauT ke jaanā bhī to ho
bhul bhi jaen tujhe zaKHm purana bhi to ho
ji bhi len jine ko jine ka bahana bhi to ho
hum ne sikha hi nahin tark-e-murawwat ka sabaq
baat baDhti hai magar baat baDhana bhi to ho
ab ke maqtal ko kisi mele ki zinat kar do
phir tamasha jo saje sath zamana bhi to ho
dasht-dar-dasht sahi aabla-pai hi sahi
aur masafat hi sahi koi Thikana bhi to ho
aao yaran-e-jafa! zaKHm kuredo dil ke
bazm-e-yaran hai zara jalna-jalana bhi to ho
shab ki zulmat ki qasam shab mein ujala kar den
hum charaghon sa jalen to kahin aana bhi to ho
hum jo chahen to tera naqsh miTa den dil se
han magar dil se tera naqsh miTana bhi to ho
hum ko maslub karo lasha jala do chahe
qabl-e-tazir koi sunna-sunana bhi to ho
shah ji raat gae der gae tak bhaTko
kaisi taKHir kahin lauT ke jaana bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.