bhul jaane ka hunar to mujhe aata hi nahin
bhuul jaane kā hunar to mujhe aatā hī nahīñ
is liye duur talak hijr se naata hī nahīñ
aise dālān-kushā ke dar-o-dīvār pe ḳhaak
jo tire jism kī ḳhushbū meñ nahātā hī nahīñ
yuuñ mayassar hai hameñ un kī jabīn-e-raushan
raat hone pe koī diip jalātā hī nahīñ
ik 'ajab shahr-e-mafādāt kī zad meñ haiñ sabhī
apne hone kā yaqīñ koī dilātā hī nahīñ
bhul jaane ka hunar to mujhe aata hi nahin
is liye dur talak hijr se nata hi nahin
aise dalan-kusha ke dar-o-diwar pe KHak
jo tere jism ki KHushbu mein nahata hi nahin
yun mayassar hai hamein un ki jabin-e-raushan
raat hone pe koi dip jalata hi nahin
ek 'ajab shahr-e-mafadat ki zad mein hain sabhi
apne hone ka yaqin koi dilata hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.