bhul jaoge tum agar mujhko
bhuul jāoge tum agar mujh ko
kaun degā mirī ḳhabar mujh ko
martaba chāhtā huuñ kuchh maiñ bhī
ai mohabbat tabāh kar mujh ko
jo mujhe ek din meñ bhuul gayā
yaad aa.egā umr-bhar mujh ko
ai shab-e-ġham koī to aahaT kar
kaaT khā.egā merā ghar mujh ko
maiñ tire dil kā ek hissa huuñ
apne andar talāsh kar mujh ko
bhul jaoge tum agar mujh ko
kaun dega meri KHabar mujh ko
martaba chahta hun kuchh main bhi
ai mohabbat tabah kar mujh ko
jo mujhe ek din mein bhul gaya
yaad aaega umr-bhar mujh ko
ai shab-e-gham koi to aahaT kar
kaT khaega mera ghar mujh ko
main tere dil ka ek hissa hun
apne andar talash kar mujh ko
- Book : Loban (Pg. 20)
- Author : Nadeem Farrukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.