bhul kar bhi na phir milega tu
bhuul kar bhī na phir milegā tū
jāntā huuñ yahī karegā tū
dekh aage muhīb khaa.ī hai
lauT aa varna gir paḌegā tū
dil kī taḳhtī pe naam hai terā
yaañ nahīñ to kahāñ rahegā tū
mere āñgan meñ ek paudā hai
phuul ban ke mahak uThegā tū
rāste meñ ka.ī dukāneñ haiñ
har dukāñ par dikhā.ī degā tū
maiñ ne āñkhoñ se jeb bhar lī hai
dekhtā huuñ kahāñ chhupegā tū
ḳhush rakheñgī ye dūriyāñ tujh ko
kyā yuuñ hī muskurā sakegā tū
bhul kar bhi na phir milega tu
jaanta hun yahi karega tu
dekh aage muhib khai hai
lauT aa warna gir paDega tu
dil ki taKHti pe nam hai tera
yan nahin to kahan rahega tu
mere aangan mein ek pauda hai
phul ban ke mahak uThega tu
raste mein kai dukanen hain
har dukan par dikhai dega tu
main ne aankhon se jeb bhar li hai
dekhta hun kahan chhupega tu
KHush rakhengi ye duriyan tujh ko
kya yun hi muskura sakega tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.