bhul kar tu sare gham apne chaman mein raqs kar
bhuul kar tū saare ġham apne chaman meñ raqs kar
jaag ai darvesh-e-jāñ mere badan meñ raqs kar
Daal kar chādar vafā kī tū mazār-e-ishq par
dār-e-mansūrī pe aa is pairahan meñ raqs kar
tū garebāñ-chāk jo niklā hai ġham kī bhiiḌ meñ
jā chalā jā chhoḌ sab tū us ke man meñ raqs kar
bārgāh-e-husn meñ jhuk kar salāmī pesh kar
bāñdh kar ghuñgrū guloñ ke bāñkpan meñ raqs kar
kis liye jalne nahīñ detī charāġhoñ ko mire
ai havā tū jā kahīñ koh-o-daman meñ raqs kar
ye rumūz-e-ma.arifat tujh par ayaañ hoñge tabhī
pī tarīqat kā subū aur is agan meñ raqs kar
bhul kar tu sare gham apne chaman mein raqs kar
jag ai darwesh-e-jaan mere badan mein raqs kar
Dal kar chadar wafa ki tu mazar-e-ishq par
dar-e-mansuri pe aa is pairahan mein raqs kar
tu gareban-chaak jo nikla hai gham ki bhiD mein
ja chala ja chhoD sab tu us ke man mein raqs kar
bargah-e-husn mein jhuk kar salami pesh kar
bandh kar ghungru gulon ke bankpan mein raqs kar
kis liye jalne nahin deti charaghon ko mere
ai hawa tu ja kahin koh-o-daman mein raqs kar
ye rumuz-e-marifat tujh par ayan honge tabhi
pi tariqat ka subu aur is agan mein raqs kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.