bhula-bisra KHwab hue hum
bhūlā-bisrā ḳhvāb hue ham
kuchh aise nāyāb hue ham
dariyā ban kar suukh ga.e the
qatre se sairāb hue ham
jaane kis manzar se guzre
pal-bhar meñ barfāb hue ham
ḳhud apnī hī gahrā.ī meñ
āḳhir ko ġharqāb hue ham
ḳhvāboñ kī ta.abīr bhī dekheñ
itne kab ḳhush-ḳhvāb hue ham
baat zabāñ par lā kar 'saifī'
be-vaq.at be-āb hue ham
bhula-bisra KHwab hue hum
kuchh aise nayab hue hum
dariya ban kar sukh gae the
qatre se sairab hue hum
jaane kis manzar se guzre
pal-bhar mein barfab hue hum
KHud apni hi gahrai mein
aaKHir ko gharqab hue hum
KHwabon ki tabir bhi dekhen
itne kab KHush-KHwab hue hum
baat zaban par la kar 'saifi'
be-waqat be-ab hue hum
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.