bhule-bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
bhūle-bisre mausamoñ ke darmiyāñ rahtā huuñ maiñ
ab jahāñ koī nahīñ rahtā vahāñ rahtā huuñ maiñ
din Dhale kartā huuñ būḌhī haDDiyoñ se sāz-bāz
jab talak shab Dhal nahīñ jaatī javāñ rahtā huuñ maiñ
kyā ḳhabar un ko bhī aatā ho kabhī merā ḳhayāl
kin malāloñ meñ huuñ kaisā huuñ kahāñ rahtā huuñ maiñ
jagmagāte jāgte shahroñ meñ rahtā huuñ malūl
soī soī bastiyoñ meñ shādmāñ rahtā huuñ maiñ
botā rahtā huuñ havā meñ gum-shuda naġhmoñ ke biij
vo samajhte haiñ ki masrūf-e-fuġhāñ rahtā huuñ maiñ
bhule-bisre mausamon ke darmiyan rahta hun main
ab jahan koi nahin rahta wahan rahta hun main
din Dhale karta hun buDhi haDDiyon se saz-baz
jab talak shab Dhal nahin jati jawan rahta hun main
kya KHabar un ko bhi aata ho kabhi mera KHayal
kin malalon mein hun kaisa hun kahan rahta hun main
jagmagate jagte shahron mein rahta hun malul
soi soi bastiyon mein shadman rahta hun main
bota rahta hun hawa mein gum-shuda naghmon ke bij
wo samajhte hain ki masruf-e-fughan rahta hun main
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 89)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.