bhule se bhi na jaanib-e-aghyar dekhna
bhule se bhi na jaanib-e-aghyar dekhna
Munshi Amirullah Tasleem
MORE BYMunshi Amirullah Tasleem
bhūle se bhī na jānib-e-aġhyār dekhnā
shart-e-vafā yahī hai ḳhabardār dekhnā
mānind-e-sham.a baiTh ke tai kī rah-e-adam
yaaro mojaza hai ki raftār dekhnā
kahtī hai ruuh dil se dam-e-naz.a hoshiyār
ham to adam ko jaate haiñ ghar-bār dekhnā
allāh re iztirāb-e-tamannā-e-dīd-e-yār
fursat meñ ik nigāh kī sau baar dekhnā
'taslīm' rū-e-yār ko hasrat kī aañkh se
achchhā nahīñ hai shauq meñ har baar dekhnā
bhule se bhi na jaanib-e-aghyar dekhna
shart-e-wafa yahi hai KHabardar dekhna
manind-e-shama baiTh ke tai ki rah-e-adam
yaro mojaza hai ki raftar dekhna
kahti hai ruh dil se dam-e-naza hoshiyar
hum to adam ko jate hain ghar-bar dekhna
allah re iztirab-e-tamanna-e-did-e-yar
fursat mein ek nigah ki sau bar dekhna
'taslim' ru-e-yar ko hasrat ki aankh se
achchha nahin hai shauq mein har bar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.