bhuli-bisri hui yaadon mein kasak hai kitni
bhūlī-bisrī huī yādoñ meñ kasak hai kitnī
Dūbtī shaam ke atrāf chamak hai kitnī
manzar-e-gul to bas ik pal ke liye Thahrā thā
aatī jaatī huī sāñsoñ meñ mahak hai kitnī
gir ke TuuTā nahīñ shāyad vo kisī patthar par
us kī āvāz meñ tābinda khanak hai kitnī
apnī har baat meñ vo bhī hai hasīnoñ jaisā
us sarāpe meñ magar nok-palak hai kitnī
jaate mausam ne jinheñ chhoḌ diyā hai tanhā
mujh meñ un TūTte pattoñ kī jhalak hai kitnī
bhuli-bisri hui yaadon mein kasak hai kitni
Dubti sham ke atraf chamak hai kitni
manzar-e-gul to bas ek pal ke liye Thahra tha
aati jati hui sanson mein mahak hai kitni
gir ke TuTa nahin shayad wo kisi patthar par
us ki aawaz mein tabinda khanak hai kitni
apni har baat mein wo bhi hai hasinon jaisa
us sarape mein magar nok-palak hai kitni
jate mausam ne jinhen chhoD diya hai tanha
mujh mein un TuTte patton ki jhalak hai kitni
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 255)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.