bhuli-bisri yaadon ki baraat nahin aai
bhūlī-bisrī yādoñ kī bārāt nahīñ aa.ī
ik muddat se hijr kī lambī raat nahīñ aa.ī
aatī thī jo roz galī ke suune nukkaḌ tak
aaj huā kyā vo parchhā.īñ saat nahīñ aa.ī
mujh ko ta.āqub meñ le aa.ī ik anjān jagah
ḳhushbū to ḳhushbū thī mere haat nahīñ aa.ī
is duniyā se un kā rishta ādhā-adhūrā hai
jin logoñ tak ḳhvāboñ kī sauġhāt nahīñ aa.ī
uupar vaale kī man-mānī khalne lagī hai ab
meñh barsā do-chār dafa barsāt nahīñ aa.ī
bhuli-bisri yaadon ki baraat nahin aai
ek muddat se hijr ki lambi raat nahin aai
aati thi jo roz gali ke sune nukkaD tak
aaj hua kya wo parchhain sat nahin aai
mujh ko taaqub mein le aai ek anjaan jagah
KHushbu to KHushbu thi mere hat nahin aai
is duniya se un ka rishta aadha-adhura hai
jin logon tak KHwabon ki saughat nahin aai
upar wale ki man-mani khalne lagi hai ab
meinh barsa do-chaar dafa barsat nahin aai
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 674)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.