bhut sar par koi sawar hai kya
bhut sar par koi sawar hai kya
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
bhuut sar par koī savār hai kyā
ye batāo kisī se pyaar hai kyā
Dar ke aage to jiit hai lekin
jiit ke aage koī haar hai kyā
merī ḳhushiyoñ meñ to sharīk rahā
mere ġham meñ bhī tū shumār hai kyā
mujh ko nafrat se dekhne vaale
ab kisī dūsre se pyaar hai kyā
dekhnā ye hai daur-e-hāzir meñ
koī merā bhī ġham-gusār hai kyā
itnī shiddat se yaad karte ho
tum ko merā hī intizār hai kyā
niim ke peḌ par bhī kyā tum ne
lagte dekhā kabhī anaar hai kyā
bhut sar par koi sawar hai kya
ye batao kisi se pyar hai kya
Dar ke aage to jit hai lekin
jit ke aage koi haar hai kya
meri KHushiyon mein to sharik raha
mere gham mein bhi tu shumar hai kya
mujh ko nafrat se dekhne wale
ab kisi dusre se pyar hai kya
dekhna ye hai daur-e-hazir mein
koi mera bhi gham-gusar hai kya
itni shiddat se yaad karte ho
tum ko mera hi intizar hai kya
nim ke peD par bhi kya tum ne
lagte dekha kabhi anar hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.