bichhaD kar us ka dil lag bhi gaya to kya lagega
bichhaḌ kar us kā dil lag bhī gayā to kyā lagegā
vo thak jā.egā aur mere gale se aa lagegā
maiñ mushkil meñ tumhāre kaam aa.uuñ yā na aa.uuñ
mujhe āvāz de lenā tumheñ achchhā lagegā
maiñ jis koshish se us ko bhuul jaane meñ lagā huuñ
ziyāda bhī agar lag jaa.e to hafta lagegā
mire hāthoñ se lag kar phuul miTTī ho rahe haiñ
mirī āñkhoñ se dariyā dekhnā sahrā lagegā
mirā dushman sunā hai kal se bhūkā laḌ rahā hai
ye pahlā tiir us ko nāshte meñ jā lagegā
ka.ī din us ke bhī sahrāoñ meñ guzre haiñ 'hāfī'
so is nisbat se ā.īna hamārā kyā lagegā
bichhaD kar us ka dil lag bhi gaya to kya lagega
wo thak jaega aur mere gale se aa lagega
main mushkil mein tumhaare kaam aaun ya na aaun
mujhe aawaz de lena tumhein achchha lagega
main jis koshish se us ko bhul jaane mein laga hun
ziyaada bhi agar lag jae to hafta lagega
mere hathon se lag kar phul miTTi ho rahe hain
meri aankhon se dariya dekhna sahra lagega
mera dushman suna hai kal se bhuka laD raha hai
ye pahla tir us ko nashte mein ja lagega
kai din us ke bhi sahraon mein guzre hain 'hafi'
so is nisbat se aaina hamara kya lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.