bichhaD ke gham mein tere kitna tanha ho gaya hun main
bichhaD ke gham mein tere kitna tanha ho gaya hun main
Jai Raj Singh Jhala
MORE BYJai Raj Singh Jhala
bichhaḌ ke ġham meñ tere kitnā tanhā ho gayā huuñ maiñ
galī kā juuñ koī vīrān konā ho gayā huuñ maiñ
ka.ī aate haiñ andar jhāñk jaate haiñ mire dil meñ
binā chhat kā koī jarjar sā kamra ho gayā huuñ maiñ
shajar par aTkā dekhā terā lahrātā dupaTTa jo
khilaunā dekh jī lalchātā bachcha ho gayā huuñ maiñ
yahīñ hai tū bharam meñ is yuuñ taktā rahtā huuñ har sū
lagātā ġhote sāgar meñ safīna ho gayā huuñ maiñ
jī bahlā lete haiñ sab zikr terā kar mire aage
thakāvaT meñ sukūñ detā bichhaunā ho gayā huuñ maiñ
tirī yādoñ meñ merā zehn aise aTkā rahtā hai
tire har taur kā jaise Thikānā ho gayā huuñ maiñ
bichhaD ke gham mein tere kitna tanha ho gaya hun main
gali ka jun koi viran kona ho gaya hun main
kai aate hain andar jhank jate hain mere dil mein
bina chhat ka koi jarjar sa kamra ho gaya hun main
shajar par aTka dekha tera lahraata dupaTTa jo
khilauna dekh ji lalchata bachcha ho gaya hun main
yahin hai tu bharam mein is yun takta rahta hun har su
lagata ghote sagar mein safina ho gaya hun main
ji bahla lete hain sab zikr tera kar mere aage
thakawaT mein sukun deta bichhauna ho gaya hun main
teri yaadon mein mera zehn aise aTka rahta hai
tere har taur ka jaise Thikana ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.