bichhaD ke tujhse na jite hain aur na marte hain
bichhaD ke tujhse na jite hain aur na marte hain
Krishn Bihari Noor
MORE BYKrishn Bihari Noor
bichhaḌ ke tujh se na jiite haiñ aur na marte haiñ
ajiib tarah ke bas hādse guzarte haiñ
zamīn chhoḌ na pā.ūñgā intizār ye hai
vo āsmān se dhartī pe kab utarte haiñ
ye kis ne khīñch dī sāñsoñ kī laxman-rekhā
ki jism jaltā hai bāhar jo paañv dharte haiñ
ye chāñd taare zamīñ aur āftāb tamām
tavāf karte haiñ kis kā tavāf karte haiñ?
hayāt detī haiñ sāñseñ bas ik maqām talak
phir is ke ba.ad to bas saañs saañs marte haiñ
bichhaD ke tujh se na jite hain aur na marte hain
ajib tarah ke bas hadse guzarte hain
zamin chhoD na paunga intizar ye hai
wo aasman se dharti pe kab utarte hain
ye kis ne khinch di sanson ki laxman-rekha
ki jism jalta hai bahar jo panw dharte hain
ye chand tare zamin aur aaftab tamam
tawaf karte hain kis ka tawaf karte hain?
hayat deti hain sansen bas ek maqam talak
phir is ke baad to bas sans sans marte hain
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 382)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.