bichhaDne ki suhulat mil na jae
bichhaḌne kī suhūlat mil na jaa.e
makīñ ko izn-e-hijrat mil na jaa.e
maiñ kaañp uThtī huuñ itnā soch kar hī
ki tū hasb-e-zarūrat mil na jaa.e
hathelī se na mas ho jaa.e novel
fasāne se haqīqat mil na jaa.e
bayābānoñ se jo ghabrā ke lauTe
unheñ bastī meñ vahshat mil na jaa.e
maiñ vird-e-sūra-e-rahmān rakkhūñ
mujhe jab tak hidāyat mil na jaa.e
tavātur se agar milte rahe ham
kahīñ apnī tabī.at mil na jaa.e
baḌī shiddat se jiinā chāhtī thī
magar ab ye ijāzat mil na jaa.e
bichhaDne ki suhulat mil na jae
makin ko izn-e-hijrat mil na jae
main kanp uThti hun itna soch kar hi
ki tu hasb-e-zarurat mil na jae
hatheli se na mas ho jae nowel
fasane se haqiqat mil na jae
bayabanon se jo ghabra ke lauTe
unhen basti mein wahshat mil na jae
main wird-e-sura-e-rahman rakkhun
mujhe jab tak hidayat mil na jae
tawatur se agar milte rahe hum
kahin apni tabiat mil na jae
baDi shiddat se jina chahti thi
magar ab ye ijazat mil na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.