bichhaDte waqt ki us ek bad-gumani mein
bichhaḌte vaqt kī us ek bad-gumānī meñ
sadā.eñ bah ga.ī sab aañkh hī ke paanī meñ
bahār-rañg ke sapne mileñge āñkhoñ meñ
ḳhizāñ jo lauT kar aa.egī shādmānī meñ
kisī bhī hashr se mahrūm hī rahā vo bhī
mirī tarah kā jo kirdār thā kahānī meñ
jagah jagah se siyāhī bhī dhul ga.ī hogī
bahā hai vaqt jo us diary purānī meñ
bichhaDte waqt ki us ek bad-gumani mein
sadaen bah gai sab aankh hi ke pani mein
bahaar-rang ke sapne milenge aankhon mein
KHizan jo lauT kar aaegi shadmani mein
kisi bhi hashr se mahrum hi raha wo bhi
meri tarah ka jo kirdar tha kahani mein
jagah jagah se siyahi bhi dhul gai hogi
baha hai waqt jo us diary purani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.