bichhDa hai kaun mujhse kahan ye KHabar na do
bichhḌā hai kaun mujh se kahāñ ye ḳhabar na do
muḌ muḌ ke dekhnā paḌe aisā safar na do
dil kī basīratoñ se jo rishta hī toḌ de
āñkhoñ ko merī dosto aisī nazar na do
har shahr aur gaañv meñ jauhar-shanās haiñ
va.ade tasalliyoñ ke ye rangīñ guhar na do
vo pattharoñ ke shahr se aayā hai lauT kar
shīshe ke ghar kahāñ haiñ use ye ḳhabar na do
nezoñ pe jo buland raheñ vo qubūl haiñ
qātil ke āstāñ pe jhukeñ aise sar na do
mujh se kisī ke naaz uThā.e na jā.eñge
shohrat mirī vafā ko 'vafā' dar-ba-dar na do
bichhDa hai kaun mujh se kahan ye KHabar na do
muD muD ke dekhna paDe aisa safar na do
dil ki basiraton se jo rishta hi toD de
aankhon ko meri dosto aisi nazar na do
har shahr aur ganw mein jauhar-shanas hain
wade tasalliyon ke ye rangin guhar na do
wo pattharon ke shahr se aaya hai lauT kar
shishe ke ghar kahan hain use ye KHabar na do
nezon pe jo buland rahen wo qubul hain
qatil ke aastan pe jhuken aise sar na do
mujh se kisi ke naz uThae na jaenge
shohrat meri wafa ko 'wafa' dar-ba-dar na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.