bichhDe hue dilon ko milane se rakh gharaz
bichhḌe hue diloñ ko milāne se rakh ġharaz
aapas kī nafratoñ ko miTāne se rakh ġharaz
taale zabāñ pe apnī lagāne se rakh ġharaz
īmān har qadam pe bachāne se rakh ġharaz
rah dushmanoñ se apne ḳhabar-dār har ghaḌī
aur dostoñ ke aib chhupāne se rakh ġharaz
dañgoñ ke ḳhauf se na dikhā buzdilī kabhī
amn-o-amāñ kī bel chaḌhāne se rakh ġharaz
na dekh zāt-pāt razākār hai agar
jalte hue gharoñ ko bujhāne se rakh ġharaz
har gaam par buland azā.em kā de sabaq
āñdhī meñ bhī charāġh jalāne se rakh ġharaz
lāzim nahīñ ki har koī ho jaa.e muttafiq
'muḳhlis' tū fan ke motī luTāne se rakh ġharaz
bichhDe hue dilon ko milane se rakh gharaz
aapas ki nafraton ko miTane se rakh gharaz
tale zaban pe apni lagane se rakh gharaz
iman har qadam pe bachane se rakh gharaz
rah dushmanon se apne KHabar-dar har ghaDi
aur doston ke aib chhupane se rakh gharaz
dangon ke KHauf se na dikha buzdili kabhi
amn-o-aman ki bel chaDhane se rakh gharaz
na dekh zat-pat razakar hai agar
jalte hue gharon ko bujhane se rakh gharaz
har gam par buland azaem ka de sabaq
aandhi mein bhi charagh jalane se rakh gharaz
lazim nahin ki har koi ho jae muttafiq
'muKHlis' tu fan ke moti luTane se rakh gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.