bichhDe hue logon ko sine mein basa rakhna
bichhḌe hue logoñ ko siine meñ basā rakhnā
apnā to muqaddar hai āñkhoñ ko bujhā rakhnā
sochā nahīñ karte haiñ biitī huī bātoñ ko
bahte hue ashkoñ ko himmat se dabā rakhnā
sone sī koī sūrat ubhregī chaTānoñ par
sūraj se do-pahrī bhar ik rabt banā rakhnā
shāyad yahīñ mil jaa.e vo shaḳhs jo bichhḌā hai
sunsān se manzar ko bātoñ meñ lagā rakhnā
kāñdhoñ pe uThā rakhnā duniyā ke har ik ġham ko
aur ḳhud ko zamāna kī fitrat se judā rakhnā
ro.eñ to vahī āñkheñ DhūñDheñ to vahī chehra
aadat sī koī jaise din raat banā rakhnā
ik aas to rahtī hai ye zindagī rahne tak
in bevafā logoñ kī fihrist banā rakhnā
bichhDe hue logon ko sine mein basa rakhna
apna to muqaddar hai aankhon ko bujha rakhna
socha nahin karte hain biti hui baaton ko
bahte hue ashkon ko himmat se daba rakhna
sone si koi surat ubhregi chaTanon par
suraj se do-pahri bhar ek rabt bana rakhna
shayad yahin mil jae wo shaKHs jo bichhDa hai
sunsan se manzar ko baaton mein laga rakhna
kandhon pe uTha rakhna duniya ke har ek gham ko
aur KHud ko zamana ki fitrat se juda rakhna
roen to wahi aankhen DhunDhen to wahi chehra
aadat si koi jaise din raat bana rakhna
ek aas to rahti hai ye zindagi rahne tak
in bewafa logon ki fihrist bana rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.