bigDe wo lakh tarah magar gul na ho saka
bigḌe vo laakh tarah magar gul na ho sakā
maiñ apne sadqe yaañ bhī ta.ammul na ho sakā
go hichkiyāñ rahīñ mujhe miinā kī yaad meñ
lekin adā tarāna-e-qulqul na ho sakā
mumkin nahīñ mirā dil-e-pazh-murda shaad ho
kumhlā gayā jo ġhuncha vo phir gul na ho sakā
allāh re josh aap kī baḳhshish ke baa'd bhī
ashkoñ se mere tark-e-tasalsul na ho sakā
bigḌā huā mizāj sañbhaltā nahīñ 'nasīm'
tā'noñ kā un ke mujh se tahammul na ho sakā
bigDe wo lakh tarah magar gul na ho saka
main apne sadqe yan bhi tammul na ho saka
go hichkiyan rahin mujhe mina ki yaad mein
lekin ada tarana-e-qulqul na ho saka
mumkin nahin mera dil-e-pazh-murda shad ho
kumhla gaya jo ghuncha wo phir gul na ho saka
allah re josh aap ki baKHshish ke ba'd bhi
ashkon se mere tark-e-tasalsul na ho saka
bigDa hua mizaj sanbhalta nahin 'nasim'
ta'non ka un ke mujh se tahammul na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.