bigDi baat banana mushkil bigDi baat banae kaun
bigḌī baat banānā mushkil bigḌī baat banā.e kaun
kunj-e-tamannā vīrāna hai aa kar phuul khilā.e kaun
tan kī daulat man kī daulat sab ḳhvāboñ kī bāteñ haiñ
nau man tel na ho to ghar meñ rādhā ko nachvā.e kaun
apnā ġham ab ḳhud hī uThā le varna rusvā.ī hogī
terā bhed chhupā kar dil meñ nāhaq bojh uThā.e kaun
chaltī gaaḌī naam kā rishta kyā mohan kyā rādhā aaj
ban ke sañvar ke raas rachā ke mohan aaj manā.e kaun
sāgar paar kī ḳhabreñ dekhe ham-sā.e kā patā nahīñ
aaj kā insāñ aalam fāzil us ko ab samjhā.e kaun
nā-ummīdī nām-e-tamannā apnā muqaddar hijr-e-musalsal
dard ke ḳhāristān meñ aa ke dāman-e-dil uljhā.e kaun
raat bhī kaalī chādar oḌhe aa pahuñchī hai ziine meñ
mehñdī lagā.e baiThī soche laT uljhī suljhā.e kaun
bigDi baat banana mushkil bigDi baat banae kaun
kunj-e-tamanna virana hai aa kar phul khilae kaun
tan ki daulat man ki daulat sab KHwabon ki baaten hain
nau man tel na ho to ghar mein radha ko nachwae kaun
apna gham ab KHud hi uTha le warna ruswai hogi
tera bhed chhupa kar dil mein nahaq bojh uThae kaun
chalti gaDi nam ka rishta kya mohan kya radha aaj
ban ke sanwar ke ras racha ke mohan aaj manae kaun
sagar par ki KHabren dekhe ham-sae ka pata nahin
aaj ka insan aalam fazil us ko ab samjhae kaun
na-ummidi nam-e-tamanna apna muqaddar hijr-e-musalsal
dard ke KHaristan mein aa ke daman-e-dil uljhae kaun
raat bhi kali chadar oDhe aa pahunchi hai zine mein
mehndi lagae baiThi soche laT uljhi suljhae kaun
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.