bite KHwab ki aadi aankhen kaun unhen samjhae
biite ḳhvāb kī aadī āñkheñ kaun unheñ samjhā.e
har aahaT par dil yuuñ dhaḌke jaise tum ho aa.e
zid meñ aa kar chhoḌ rahī hai un bāñhoñ ke saa.e
jal jā.egī mom kī guḌiyā duniyā dhūp-sarā.e
shaam huī to ghar kī har ik shai par aa kar jhapTe
āñgan kī dahlīz pe baiThe vīrānī ke saa.e
har ik dhaḌkan dard kī gahrī Tiis meñ Dhal jaatī hai
raat ga.e jab yaad kā panchhī apne par phailā.e
andar aisā habs thā maiñ ne khol diyā darvāza
jis ne dil se jaanā hai vo ḳhāmoshī se jaa.e
kis kis phuul kī shādābī ko masḳh karoge bolo!!!
ye to us kī den hai jis ko chāhe vo mahkā.e
bite KHwab ki aadi aankhen kaun unhen samjhae
har aahaT par dil yun dhaDke jaise tum ho aae
zid mein aa kar chhoD rahi hai un banhon ke sae
jal jaegi mom ki guDiya duniya dhup-sarae
sham hui to ghar ki har ek shai par aa kar jhapTe
aangan ki dahliz pe baiThe virani ke sae
har ek dhaDkan dard ki gahri Tis mein Dhal jati hai
raat gae jab yaad ka panchhi apne par phailae
andar aisa habs tha main ne khol diya darwaza
jis ne dil se jaana hai wo KHamoshi se jae
kis kis phul ki shadabi ko masKH karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chahe wo mahkae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.