bite lamhe kal ki baaten yaad aain
biite lamhe kal kī bāteñ yaad aa.iiñ
vo rañgoñ kī sab barsāteñ yaad aa.iiñ
din dekhā to chehra terā yaad aayā
raat ke dekhe zulf kī rāteñ yaad aa.eñ
beTā m-a kar ke ghar meñ baiTh gayā
apne vaqt kī chaar jamā.ateñ yaad aa.iiñ
jaltī dhuup meñ nañge paañv chalne par
ThanDe lahje kī sauġhāteñ yaad aa.iiñ
aaj kī jiit pe dil aisā vīrān huā
kal kī hañstī-kheltī bāteñ yaad aa.eñ
jhūTī shaan kā sūraj Dūbte dekhā to
apnī dubkī sahmī zāteñ yaad aa.iiñ
'hasrat' jab beTī kī Dolī lauT ga.ī
lauTne vaalī sab bārāteñ yaad aa.iiñ
bite lamhe kal ki baaten yaad aain
wo rangon ki sab barsaten yaad aain
din dekha to chehra tera yaad aaya
raat ke dekhe zulf ki raaten yaad aaen
beTa m-a kar ke ghar mein baiTh gaya
apne waqt ki chaar jamaaten yaad aain
jalti dhup mein nange panw chalne par
ThanDe lahje ki saughaten yaad aain
aaj ki jit pe dil aisa viran hua
kal ki hansti-khelti baaten yaad aaen
jhuTi shan ka suraj Dubte dekha to
apni dubki sahmi zaten yaad aain
'hasrat' jab beTi ki Doli lauT gai
lauTne wali sab baraaten yaad aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.