biti hai ye sab dil pe hai sab dil ki zabani
biitī hai ye sab dil pe hai sab dil kī zabānī
hijrāñ kī jo dilbar se maiñ kahtā huuñ kahānī
tū yaar aziiz āñkhoñ meñ hai mahr-vashoñ ke
niiñ hai mah-e-kan.āñ bhī tire husn ke saanī
abrū ke tire chiin ke kyā vasf kahūñ maiñ
shamshīr meñ jauhar se hai ḳhūbī kī nishānī
sar par ho sar-e-bazm kahāñ sham.a meñ hai aab
gar ishq kī āñkheñ jo kareñ ashk-fishānī
biti hai ye sab dil pe hai sab dil ki zabani
hijran ki jo dilbar se main kahta hun kahani
tu yar aziz aankhon mein hai mahr-washon ke
nin hai mah-e-kanan bhi tere husn ke sani
abru ke tere chin ke kya wasf kahun main
shamshir mein jauhar se hai KHubi ki nishani
sar par ho sar-e-bazm kahan shama mein hai aab
gar ishq ki aankhen jo karen ashk-fishani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.