bijlī kaḌkī to maiñ Dar sā gayā
sar se ik āsmāñ guzar sā gayā
baat ġhairat pe aa ga.ī thī aaj
aaj kuchh der maiñ to mar sā gayā
yaad hai ek ek mahrūmī
mujh meñ bachpan kahīñ Thahar sā gayā
zulm mā'sūm par kiyā kis ne
ek nanhā badan ThiThur sā gayā
husn jannat se utrā ho jaise
duur hī se mujhe vo tarsā gayā
baat kuchh us ne aisī kah dī aaj
dil meñ ḳhanjar mire utar sā gayā
us kī ḳhushbū ne kar diyā jaadū
ghar mirā 'soz' aaj bhar sā gayā
bijli kaDki to main Dar sa gaya
sar se ek aasman guzar sa gaya
baat ghairat pe aa gai thi aaj
aaj kuchh der main to mar sa gaya
yaad hai ek ek mahrumi
mujh mein bachpan kahin Thahar sa gaya
zulm ma'sum par kiya kis ne
ek nanha badan ThiThur sa gaya
husn jannat se utra ho jaise
dur hi se mujhe wo tarsa gaya
baat kuchh us ne aisi kah di aaj
dil mein KHanjar mere utar sa gaya
us ki KHushbu ne kar diya jadu
ghar mera 'soz' aaj bhar sa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.