bijliyon ke raqib hote hain
bijliyoñ ke raqīb hote haiñ
chaar tinke ajiib hote haiñ
yās-o-ummīd hasrat-o-armāñ
zindagī ke naqīb hote haiñ
jitne sayyād haiñ zamāne ke
āshiyāñ ke qarīb hote haiñ
dil ke zaḳhmoñ se khelne vaale
dil ke behtar tabīb hote haiñ
'intizār' intizār ke lamhe
dil ko misl-e-salīb hote haiñ
bijliyon ke raqib hote hain
chaar tinke ajib hote hain
yas-o-ummid hasrat-o-arman
zindagi ke naqib hote hain
jitne sayyaad hain zamane ke
aashiyan ke qarib hote hain
dil ke zaKHmon se khelne wale
dil ke behtar tabib hote hain
'intizar' intizar ke lamhe
dil ko misl-e-salib hote hain
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 67)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.