bijliyon ki hansi uDane ko
bijliyoñ kī hañsī uḌāne ko
ḳhud jalātā huuñ āshiyāne ko
ro rahā hai agarche dil phir bhī
muskurātā huuñ muskurāne ko
mutlaqan dilkashī na thī us meñ
kaun suntā mire fasāne ko
chhīn lī us ne tāqat-e-parvāz
aag lag jaa.e āshiyāne ko
'shād' itnā hī ham samajhte haiñ
ham samajhte nahīñ zamāne ko
bijliyon ki hansi uDane ko
KHud jalata hun aashiyane ko
ro raha hai agarche dil phir bhi
muskuraata hun muskurane ko
mutlaqan dilkashi na thi us mein
kaun sunta mere fasane ko
chhin li us ne taqat-e-parwaz
aag lag jae aashiyane ko
'shad' itna hi hum samajhte hain
hum samajhte nahin zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.