bik gae hain jo yahan thoDi si rishwat ke liye
bik ga.e haiñ jo yahāñ thoḌī sī rishvat ke liye
mashvara dete haiñ vo bhī hameñ mehnat ke liye
aaj phir se milī hai mujh ko mohabbat meñ shikast
ik ḳhudā aur milā aaj 'ibādat ke liye
tajraba soch-samajh 'umr se aage kī milī
hijr kaaTā nahīñ hai sirf ik 'aurat ke liye
qābil-e-‘ishq na the aap zarūrī haiñ magar
aap mujh jaise talabgār-e-aziyyat ke liye
kisī ko aap se nafrat bhī nahīñ hotī 'kunāl'
aap ummīd lagāte haiñ mohabbat ke liye
bik gae hain jo yahan thoDi si rishwat ke liye
mashwara dete hain wo bhi hamein mehnat ke liye
aaj phir se mili hai mujh ko mohabbat mein shikast
ek KHuda aur mila aaj 'ibaadat ke liye
tajraba soch-samajh 'umr se aage ki mili
hijr kaTa nahin hai sirf ek 'aurat ke liye
qabil-e-‘ishq na the aap zaruri hain magar
aap mujh jaise talabgar-e-aziyyat ke liye
kisi ko aap se nafrat bhi nahin hoti 'kunal'
aap ummid lagate hain mohabbat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.