bik jaenge hum husn-e-KHaridar agar hai
bik jā.eñge ham husn-e-ḳharīdār agar hai
nimTeñge koī barsar-e-paikār agar hai
kal us se hamesha ko tirī jaan chhuTegī
ik raat kā mehmān hai bīmār agar hai
bas ek nazar dil ke sahīfe kī taraf dekh
phir shauq se kar jaan tū inkār agar hai
hoñToñ ko bhale jumbish-e-alfāz garāñ ho
āñkhoñ hī se kar Dāliye iz.hār agar hai
lo kal se na.ī samt kā karte haiñ ta.ayyun
ai dost bichhaḌne kā hī isrār agar hai
ham jis ke liye umr gañvā baiThe haiñ yaaro
rakh legā bharam sāhab-e-kirdār agar hai
ai jān-e-'rashīd' is kā sabab tum to nahīñ ho
ye ḳhāk-nashīñ jaan se bezār agar hai
bik jaenge hum husn-e-KHaridar agar hai
nimTenge koi barsar-e-paikar agar hai
kal us se hamesha ko teri jaan chhuTegi
ek raat ka mehman hai bimar agar hai
bas ek nazar dil ke sahife ki taraf dekh
phir shauq se kar jaan tu inkar agar hai
honTon ko bhale jumbish-e-alfaz garan ho
aankhon hi se kar Daliye izhaar agar hai
lo kal se nai samt ka karte hain tayyun
ai dost bichhaDne ka hi israr agar hai
hum jis ke liye umr ganwa baiThe hain yaro
rakh lega bharam sahab-e-kirdar agar hai
ai jaan-e-'rashid' is ka sabab tum to nahin ho
ye KHak-nashin jaan se bezar agar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.