bikhar bikhar ke jo simTi wo kaenat hun main
bikhar bikhar ke jo simTī vo kā.enāt huuñ maiñ
mirā sabāt yahī hai ki be-sabāt huuñ maiñ
ḳhudā to bhuul gayā kab kā ḳhalq kar ke mujhe
sahar bhī chhoḌ ga.ī jis ko aisī raat huuñ maiñ
mire nafas meñ hai pinhāñ jo merā ḳhāliq hai
varaq varaq jo mukammal hai vo kitāb huuñ maiñ
maiñ apnī zaat meñ yaktā nahīñ huuñ duniyā meñ
jo sab pe biit rahī hai vo vārdāt huuñ maiñ
mujhe ye ilm nahīñ qāfila ravāñ hai kahāñ
magar sharīk-e-ġham-e-jāda-e-hayāt huuñ maiñ
bikhar bikhar ke jo simTi wo kaenat hun main
mera sabaat yahi hai ki be-sabaat hun main
KHuda to bhul gaya kab ka KHalq kar ke mujhe
sahar bhi chhoD gai jis ko aisi raat hun main
mere nafas mein hai pinhan jo mera KHaliq hai
waraq waraq jo mukammal hai wo kitab hun main
main apni zat mein yakta nahin hun duniya mein
jo sab pe bit rahi hai wo wardat hun main
mujhe ye ilm nahin qafila rawan hai kahan
magar sharik-e-gham-e-jada-e-hayat hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.