bikhre bikhre din hote hain raaten jaga karti hain
bikhre bikhre din hote haiñ rāteñ jaagā kartī haiñ
galiyāñ thak kar so jaatī haiñ saḌkeñ jaagā kartī haiñ
ġhussa shoḳhī aadat qisse sab pīchhe chhuT jaatā hai
log chale jaate haiñ un kī bāteñ jaagā kartī haiñ
jab se mohabbat hotī hai is meñ dam aTkā rahtā hai
jism bikhar jaatā hai lekin āñkheñ jaagā kartī haiñ
vasl ke lamhoñ meñ saare lafz aur zabāñ so jaate haiñ
kamre kī tanhā.ī meñ bas sāñseñ jaagā kartī haiñ
beTe āvāragardī meñ rahte haiñ mashġhūl magar
nālā.eq beToñ kī ḳhātir maa.eñ jaagā kartī haiñ
bikhre bikhre din hote hain raaten jaga karti hain
galiyan thak kar so jati hain saDken jaga karti hain
ghussa shoKHi aadat qisse sab pichhe chhuT jata hai
log chale jate hain un ki baaten jaga karti hain
jab se mohabbat hoti hai is mein dam aTka rahta hai
jism bikhar jata hai lekin aankhen jaga karti hain
wasl ke lamhon mein sare lafz aur zaban so jate hain
kamre ki tanhai mein bas sansen jaga karti hain
beTe aawaragardi mein rahte hain mashghul magar
nalaeq beTon ki KHatir maen jaga karti hain
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 23)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.