bikhri hui hai yun meri wahshat ki dastan
bikhrī huī hai yuuñ mirī vahshat kī dāstāñ
dāman kidhar kidhar hai girebāñ kahāñ kahāñ
nikle us anjuman se to pahlū meñ dil na thā
aa.e jo DhūñDne to vo bole yahāñ kahāñ
aise meñ kyā chale ho 'mubārak' chaman ko tum
bulbul kahāñ bahār kahāñ bāġhbāñ kahāñ
bikhri hui hai yun meri wahshat ki dastan
daman kidhar kidhar hai gireban kahan kahan
nikle us anjuman se to pahlu mein dil na tha
aae jo DhunDne to wo bole yahan kahan
aise mein kya chale ho 'mubarak' chaman ko tum
bulbul kahan bahaar kahan baghban kahan
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.