bil-aKHir jism-o-jaan se KHu-e-asaish nikali hai

bil-aKHir jism-o-jaan se KHu-e-asaish nikali hai
Kashif Husain Ghair
MORE BYKashif Husain Ghair
bil-āḳhir jism-o-jāñ se ḳhū-e-āsā.ish nikālī hai
baḌī mushkil se ghar meñ apnī gunjā.ish nikālī hai
zar-e-duniyā se mujh ko bū sī aatī thī ta'affun kī
abhī kuchh roz pahle hī ye ālā.ish nikālī hai
ye ḳhūbī bhī kisī merī ḳharābī se huī paidā
alag jo dūsroñ se tarz-e-ārā.ish nikālī hai
mirī vahshat ke aage vus'at-e-sahrā bahut kam hai
miyāñ bekār hī tum ne ye paimā.ish nikālī hai
hamārī zindagī par maut bhī hairān hai 'ġhā.er'
na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai
bil-aKHir jism-o-jaan se KHu-e-asaish nikali hai
baDi mushkil se ghar mein apni gunjaish nikali hai
zar-e-duniya se mujh ko bu si aati thi ta'affun ki
abhi kuchh roz pahle hi ye aalaish nikali hai
ye KHubi bhi kisi meri KHarabi se hui paida
alag jo dusron se tarz-e-araish nikali hai
meri wahshat ke aage wus'at-e-sahra bahut kam hai
miyan bekar hi tum ne ye paimaish nikali hai
hamari zindagi par maut bhi hairan hai 'ghaer'
na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 95)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.