Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

Iqbal Azeem

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

Iqbal Azeem

MORE BYIqbal Azeem

    bil-ehtimām zulm tajdīd ga.ī

    aur ham ko sabr-o-zabt tākīd ga.ī

    avval to bolne ijāzat na thī hameñ

    aur ham ne kuchh kahā bhī to tardīd ga.ī

    anjām-kār baat shikāyāt par rukī

    pursish agarche az-rah-e-tamhīd ga.ī

    tajdīd-e-iltifāt tajvīz rad huī

    tark-e-ta.alluqāt tā.īd ga.ī

    jiine koī ek sahārā to chāhiye

    Dar Dar ke ga.ī magar ummīd ga.ī

    ghar ke charāġh aur bhī be-nūr ho ga.e

    is darja ḳhātir-e-mah-o-ḳhurshīd ga.ī

    bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

    aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai

    awwal to bolne ki ijazat na thi hamein

    aur hum ne kuchh kaha bhi to tardid ki gai

    anjam-kar baat shikayat par ruki

    pursish agarche az-rah-e-tamhid ki gai

    tajdid-e-iltifat ki tajwiz rad hui

    tark-e-talluqat ki taid ki gai

    jine ka koi ek sahaara to chahiye

    Dar Dar ke ki gai magar ummid ki gai

    ghar ke charagh aur bhi be-nur ho gae

    is darja KHatir-e-mah-o-KHurshid ki gai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Azeem

    Iqbal Azeem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now