bila jawaz nahin hai ghurur aankhon mein
bilā javāz nahīñ hai ġhurūr āñkhoñ meñ
basā huā hai koī to zarūr āñkhoñ meñ
tasalliyoñ kā charāġhāñ shafīq hoñToñ par
mohabbatoñ kī anokhī sutūr āñkhoñ meñ
vazū-e-dīd judā.ī meñ bhī mayassar hai
haiñ garche duur magar haiñ huzūr āñkhoñ meñ
ki raat dūdhiyā chādar meñ ḳhvāb lipTe the
tamām din thā rahā us kā nuur āñkhoñ meñ
ruke hue kisī sailāb kī safārat ko
kiyā hai ashk ne phir se zuhūr āñkhoñ meñ
jiyā hai dasht-e-dil-o-jāñ had-e-muayyan meñ
kiyā hai aañkh kā dariyā ubuur āñkhoñ meñ
ḳhumār-e-dard meñ 'tāhir-adīm' sab masrūr
haiñ mastiyāñ sī saroñ meñ surūr āñkhoñ meñ
bila jawaz nahin hai ghurur aankhon mein
basa hua hai koi to zarur aankhon mein
tasalliyon ka charaghan shafiq honTon par
mohabbaton ki anokhi sutur aankhon mein
wazu-e-did judai mein bhi mayassar hai
hain garche dur magar hain huzur aankhon mein
ki raat dudhiya chadar mein KHwab lipTe the
tamam din tha raha us ka nur aankhon mein
ruke hue kisi sailab ki safarat ko
kiya hai ashk ne phir se zuhur aankhon mein
jiya hai dasht-e-dil-o-jaan had-e-muayyan mein
kiya hai aankh ka dariya ubur aankhon mein
KHumar-e-dard mein 'tahir-adim' sab masrur
hain mastiyan si saron mein surur aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.