bilkul tum sa aur tumhaara lagta hun
bilkul tum sā aur tumhārā lagtā huuñ
kabhī kabhī maiñ ḳhud ko pyārā lagtā huuñ
ek nazar us huur ne mujh ko dekhā thā
ḳhud ko maiñ ab ek sitārā lagtā huuñ
jitnā aap jatātī haiñ har message meñ
kyā maiñ aap ko itnā pyārā lagtā huuñ
shāyad merī jiit isī meñ hotī hai
is ke aage haarā haarā lagtā huuñ
merā sher churā kar tum ne sher kahā
rishte meñ ab baap tumhārā lagtā huuñ
haath pakaḌ kar saath khaḌī ho jaatī hai
logoñ meñ jab maiñ bechāra lagtā
bilkul tum sa aur tumhaara lagta hun
kabhi kabhi main KHud ko pyara lagta hun
ek nazar us hur ne mujh ko dekha tha
KHud ko main ab ek sitara lagta hun
jitna aap jatati hain har message mein
kya main aap ko itna pyara lagta hun
shayad meri jit isi mein hoti hai
is ke aage haara haara lagta hun
mera sher chura kar tum ne sher kaha
rishte mein ab bap tumhaara lagta hun
hath pakaD kar sath khaDi ho jati hai
logon mein jab main bechaara lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.