Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga

Jurat Qalandar Bakhsh

bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    bin tire kyā kaheñ kyā rog hameñ yaar lagā

    Dar lage naam liye jis vo āzār lagā

    sab ye kahte haiñ mujhe tujh se jo dil yaar lagā

    haa.e kyā is ko javānī meñ ye āzār lagā

    ham divānoñ ye hai dasht-e-junūñ meñ rutba

    ki qadam rakhte aa paañv se har ḳhaar lagā

    kahiye kyūñkar na use bādshah-e-kishvar-e-husn

    ki jahāñ ke vo baiThā vahīñ darbār lagā

    qadr phir apnī ho kyā us ke ḳharīdāroñ meñ

    roz-o-shab jis galī meñ rahe bāzār lagā

    kaun din vo kaTā mujh pe ki ai teġh-e-firāq

    zaḳhm ik taaza mire dil pe na har baar lagā

    dil meñ ab us ke jo lahr aa.ī hai ghar jaane

    bhī rone jhaḌī dīda-e-ḳhūñ-bār lagā

    muttasil jo mirā ḳhūn-e-jigar piitā hai

    kyuuñ ġham-e-ishq ye kyā tujh ko mazedār lagā

    tez-dastī-e-junūñ aaj hai aisī ki bas

    na rahā apne garebāñ meñ koī taar lagā

    is zamīñ meñ ġhazal ik aur bhī paḌh ai 'jur.at'

    ḳhuub andāz ke ab kahne ash.ār lagā

    bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga

    Dar lage nam liye jis ka wo aazar laga

    sab ye kahte hain mujhe tujh se jo dil yar laga

    hae kya is ko jawani mein ye aazar laga

    hum diwanon ka ye hai dasht-e-junun mein rutba

    ki qadam rakhte hi aa panw se har KHar laga

    kahiye kyunkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn

    ki jahan ja ke wo baiTha wahin darbar laga

    qadr phir apni ho kya us ke KHaridaron mein

    roz-o-shab jis ki gali mein rahe bazar laga

    kaun sa din wo kaTa mujh pe ki ai tegh-e-firaq

    zaKHm ek taza mere dil pe na har bar laga

    dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki

    tu bhi rone ki jhaDi dida-e-KHun-bar laga

    muttasil tu jo mera KHun-e-jigar pita hai

    kyun gham-e-ishq ye kya tujh ko mazedar laga

    tez-dasti-e-junun aaj hai aisi hi ki bas

    na raha apne gareban mein koi tar laga

    is zamin mein ghazal ek aur bhi paDh ai 'jurat'

    KHub andaz ke ab kahne tu ashaar laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now