bina bole hi sab kuchh jaan jae
binā bole hī sab kuchh jaan jaa.e
vo kaash āñkhoñ kā dukh pahchān jaa.e
jise Thukrāne par ye jaan jaa.e
agar apnā leñ to īmān jaa.e
koī ham se kare itnī mohabbat
hamāre jhuuT bhī sach maan jaa.e
agar ummīd-e-manzil chhoḌ baiTheñ
to mumkin hai safar āsān jaa.e
hamārī zindagī tak haa.e zālim
taġhāful par tire qurbān jaa.e
phir apne aap ke baare meñ socheñ
jo zehn-o-dil se terā dhyān jaa.e
hameñ ik baar siine se lagā lo
ki dil se dard kā imkān jaa.e
bina bole hi sab kuchh jaan jae
wo kash aankhon ka dukh pahchan jae
jise Thukrane par ye jaan jae
agar apna len to iman jae
koi hum se kare itni mohabbat
hamare jhuT bhi sach man jae
agar ummid-e-manzil chhoD baiThen
to mumkin hai safar aasan jae
hamari zindagi tak hae zalim
taghaful par tere qurban jae
phir apne aap ke bare mein sochen
jo zehn-o-dil se tera dhyan jae
hamein ek bar sine se laga lo
ki dil se dard ka imkan jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.