bina dekhe tujhe apna bana kar dekh leta hun
binā dekhe tujhe apnā banā kar dekh letā huuñ
maiñ tere āstāñ par sar jhukā kar dekh letā huuñ
sunā hai raaz chāhat kā chhupānā saḳht mushkil hai
tirī tasvīr āñkhoñ meñ chhupā kar dekh letā huuñ
añdhere dil kī bastī ke bhī shāyad duur ho jaa.eñ
maiñ tere naam kī mash.al jalā kar dekh letā huuñ
shikāyat dostoñ kī hai mire ahbāb ke lab par
chalo ab dushmanoñ ko aazmā kar dekh letā huuñ
vo gul jān-e-bahār-e-ārzū hai log kahte haiñ
use shāḳh-e-tamannā par sajā kar dekh letā huuñ
mujh kuchh bhī nahīñ hāsil huā ūñchī uḌānoñ se
qadam apnī zamīñ par ab jamā kar dekh letā huuñ
duā apne liye maiñ ne kabhī māñgī nahīñ koī
tirī ḳhātir maiñ haath apne uThā kar dekh letā huuñ
paroñ meñ un ke kitnī tāqat-e-parvāz baaqī hai
parinde apnī sochoñ ke uḌā kar dekh letā huuñ
kahāñ pahuñchegā merā kārvān-e-shauq ai 'shāhid'
maiñ apne aap ko rahbar banā kar dekh letā huuñ
bina dekhe tujhe apna bana kar dekh leta hun
main tere aastan par sar jhuka kar dekh leta hun
suna hai raaz chahat ka chhupana saKHt mushkil hai
teri taswir aankhon mein chhupa kar dekh leta hun
andhere dil ki basti ke bhi shayad dur ho jaen
main tere nam ki mashal jala kar dekh leta hun
shikayat doston ki hai mere ahbab ke lab par
chalo ab dushmanon ko aazma kar dekh leta hun
wo gul jaan-e-bahaar-e-arzu hai log kahte hain
use shaKH-e-tamanna par saja kar dekh leta hun
mujh kuchh bhi nahin hasil hua unchi uDanon se
qadam apni zamin par ab jama kar dekh leta hun
dua apne liye main ne kabhi mangi nahin koi
teri KHatir main hath apne uTha kar dekh leta hun
paron mein un ke kitni taqat-e-parwaz baqi hai
parinde apni sochon ke uDa kar dekh leta hun
kahan pahunchega mera karwan-e-shauq ai 'shahid'
main apne aap ko rahbar bana kar dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.