bina sahar ke ujale mujhe qubul nahin
binā sahar ke ujāle mujhe qubūl nahīñ
tire ye jhūTe dilāse mujhe qubūl nahīñ
na tū madārī hai na maiñ tirā jamūrā huuñ
ye aa.e din ke tamāshe mujhe qubūl nahīñ
baḌhā ke haath ko tum ne mujhe girāyā hai
agar yahī haiñ sahāre mujhe qubūl nahīñ
kisī ke zehn kī jo khiḌkiyāñ na khol sakeñ
to aise ilm ke da.ave mujhe qubūl nahīñ
jo mere dil pe hai guzrī vahī agar na kaho
to baaqī shor-sharābe mujhe qubūl nahīñ
ho zulm aam jahāñ par jahāñ na haq pahuñche
ye bhūle-bhaTke zamāne mujhe qubūl nahīñ
bina sahar ke ujale mujhe qubul nahin
tere ye jhuTe dilase mujhe qubul nahin
na tu madari hai na main tera jamura hun
ye aae din ke tamashe mujhe qubul nahin
baDha ke hath ko tum ne mujhe giraya hai
agar yahi hain sahaare mujhe qubul nahin
kisi ke zehn ki jo khiDkiyan na khol saken
to aise ilm ke dawe mujhe qubul nahin
jo mere dil pe hai guzri wahi agar na kaho
to baqi shor-sharabe mujhe qubul nahin
ho zulm aam jahan par jahan na haq pahunche
ye bhule-bhaTke zamane mujhe qubul nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.