bindraban ke kirshn-kanhayya allah-hu
bindrāban ke kirshn-kanhayyā allāh-hū
bansī rādhā giitā gayyā allāh-hū
thoḌe tinke thoḌe daane thoḌā jal
ek hī jaisī har gaurayyā allāh-hū
jaisā jis kā bartan vaisā us kā tan
ghaTtī baḌhtī gañgā-mayyā-allāh allāh-hū
ek hī dariyā niilā piilā laal harā
apnī apnī sab kī nayyā allāh-hū
maulviyoñ kā sajda panDit kī puujā
mazdūroñ kī haiyyā haiyyā allāh-hū
bindraban ke kirshn-kanhayya allah-hu
bansi radha gita gayya allah-hu
thoDe tinke thoDe dane thoDa jal
ek hi jaisi har gaurayya allah-hu
jaisa jis ka bartan waisa us ka tan
ghaTti baDhti ganga-mayya-allah allah-hu
ek hi dariya nila pila lal hara
apni apni sab ki nayya allah-hu
maulwiyon ka sajda panDit ki puja
mazduron ki haiyya haiyya allah-hu
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 473)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.