bodhisatwon ki baat mein dam hai
bodhisatvoñ kī baat meñ dam hai
zindagī svapn hai nirā bhram hai
aadmī aadmī meñ farq kahāñ
ek kunba hai ek 'ālam hai
ham usī dasht-e-ġham meñ rahte haiñ
jis meñ kab se muqīm gautam hai
dīn-o-duniyā ma'āsh ranj-o-alam
ek jaañ par ye bojh kyā kam hai
jis kī koī bhī intihā hī nahīñ
us havas kā hī naam aadam hai
bodhisatwon ki baat mein dam hai
zindagi swapn hai nira bhram hai
aadmi aadmi mein farq kahan
ek kunba hai ek 'alam hai
hum usi dasht-e-gham mein rahte hain
jis mein kab se muqim gautam hai
din-o-duniya ma'ash ranj-o-alam
ek jaan par ye bojh kya kam hai
jis ki koi bhi intiha hi nahin
us hawas ka hi nam aadam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.