bol deti hai be-zabani bhi
bol detī hai be-zabānī bhī
ḳhāmoshī ke ka.ī ma.ānī bhī
vaqt be-vaqt hī nikal aa.e
hai ajab aañkh kā ye paanī bhī
vo sabab hai merī udāsī kā
us se hai dostī purānī bhī
vo marāsim baḌhā ke chhoḌ gayā
dard hotā hai jāvedānī bhī
aaj phir qais ko hī marnā paḌā
ho ga.ī ḳhatm ye kahānī bhī
bol deti hai be-zabani bhi
KHamoshi ke kai maani bhi
waqt be-waqt hi nikal aae
hai ajab aankh ka ye pani bhi
wo sabab hai meri udasi ka
us se hai dosti purani bhi
wo marasim baDha ke chhoD gaya
dard hota hai jawedani bhi
aaj phir qais ko hi marna paDa
ho gai KHatm ye kahani bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.