bol paDte hain hum jo aage se
bol paḌte haiñ ham jo aage se
pyaar baḌhtā hai is ravayye se
maiñ vahī huuñ yaqīñ karo merā
maiñ jo lagtā nahīñ huuñ chehre se
ham ko nīche utaar leñge log
ishq laTkā rahegā pañkhe se
saarā kuchh lag rahā hai be-tartīb
ek shai aage pīchhe hone se
vaise bhī kaun sī zamīneñ thiiñ
maiñ bahut ḳhush huuñ āq-nāme se
ye mohabbat vo ghaaT hai jis par
daaġh lagte haiñ kapḌe dhone se
bol paDte hain hum jo aage se
pyar baDhta hai is rawayye se
main wahi hun yaqin karo mera
main jo lagta nahin hun chehre se
hum ko niche utar lenge log
ishq laTka rahega pankhe se
sara kuchh lag raha hai be-tartib
ek shai aage pichhe hone se
waise bhi kaun si zaminen thin
main bahut KHush hun aaq-name se
ye mohabbat wo ghaT hai jis par
dagh lagte hain kapDe dhone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.