boliye karta hun minnat aap ki
boliye kartā huuñ minnat aap kī
kyuuñ mukaddar hai tabī'at aap kī
phūñke detī hai kalejā siine meñ
sho'la ban ban kar mohabbat aap kī
itnī be-parvā.iyāñ achchhī nahīñ
log karte haiñ shikāyat aap kī
chāñdnī muñh par na paḌne dījiye
mailī ho jā.egī rangat aap kī
ek dil rakhte the vo bhī kho chuke
ho ga.e muflis badaulat aap kī
daaġh ham ko ḳhaal sāhab ko milā
ye nasīb apnā vo qismat aap kī
mar ke phir zinda hue samjheñge ham
jhel jā.eñge jo furqat aap kī
muñh lagā kar phir na hargiz pūchhnā
vaah kyā achchhī hai 'ādat aap kī
hūreñ jannat se to pariyāñ qaaf se
dekhne aatī haiñ sūrat aap kī
merī sūrat se agar nafrat nahīñ
kyuuñ badal jaatī hai rangat aap kī
ek bose par hazāroñ hujjateñ
māniye kyuuñ kar saḳhāvat aap kī
sun ke matlab saaf āñkheñ pher liiñ
dekh lī ham ne muravvat aap kī
phuul kī jā pankhuḌī ai bāġh-e-husn
dāġh-e-dil par hai ‘ināyat aap kī
har kisī ke sāmne rote ho 'bahr'
bah ga.ī āñkhoñ se ġhairat aap kī
boliye karta hun minnat aap ki
kyun mukaddar hai tabi'at aap ki
phunke deti hai kaleja sine mein
sho'la ban ban kar mohabbat aap ki
itni be-parwaiyan achchhi nahin
log karte hain shikayat aap ki
chandni munh par na paDne dijiye
maili ho jaegi rangat aap ki
ek dil rakhte the wo bhi kho chuke
ho gae muflis badaulat aap ki
dagh hum ko KHal sahab ko mila
ye nasib apna wo qismat aap ki
mar ke phir zinda hue samjhenge hum
jhel jaenge jo furqat aap ki
munh laga kar phir na hargiz puchhna
wah kya achchhi hai 'adat aap ki
huren jannat se to pariyan qaf se
dekhne aati hain surat aap ki
meri surat se agar nafrat nahin
kyun badal jati hai rangat aap ki
ek bose par hazaron hujjaten
maniye kyun kar saKHawat aap ki
sun ke matlab saf aankhen pher lin
dekh li hum ne murawwat aap ki
phul ki ja pankhuDi ai bagh-e-husn
dagh-e-dil par hai ‘inayat aap ki
har kisi ke samne rote ho 'bahr'
bah gai aankhon se ghairat aap ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.