Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bolna baada-kashon se na zara ai waiz

Shad Lakhnavi

bolna baada-kashon se na zara ai waiz

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    bolnā bāda-kashoñ se na zarā ai vaa.iz

    kaan pakḌūñgā jo qulqul ko sunā ai vaa.iz

    duḳhtar-e-raz ko jo kahtā hai burā ai vaa.iz

    us afīfa ne tirā kyā hai kiyā ai vaa.iz

    jām-e-kausar jo ḳhvāhish hai dam-e-bāda-kashī

    bazm-e-rindān-e-qadah-nosh meñ aa ai vaa.iz

    joshish-e-shīsha-o-sāġhar-shiknī hai bayāñ

    muñh toḌe koī badmast tirā ai vaa.iz

    jām-e-mai daur meñ charḳh-e-kuhan sūrat

    dekhtā hai jo tujhe rañg nayā ai vaa.iz

    TuuT jaa.e na kahīñ tere kaḌe hāthoñ se

    dil mirā shīsha-e-nāzuk hai sunā ai vaa.iz

    loT ho jo na mastoñ tarah kyā ma.anī

    muñh lagā bint-e-inab ko to zarā ai vaa.iz

    pārsā.ī to zarā zāhid-e-makkār dekh

    rahn-e-mai ḳhirqa-sālūs huā ai vaa.iz

    chaḌh ke mimbar pe na makkār daroġh itnā bol

    muñh meñ aatī hai jhūTe ke sunā ai vaa.iz

    har-nafas 'shād' yahī qaul hai matvāloñ

    ham ne sauñpā tujhe shaitān ko ai vaa.iz

    bolna baada-kashon se na zara ai waiz

    kan pakDunga jo qulqul ko suna ai waiz

    duKHtar-e-raz ko jo kahta hai bura ai waiz

    us afifa ne tera kya hai kiya ai waiz

    jam-e-kausar ki jo KHwahish hai dam-e-baada-kashi

    bazm-e-rindan-e-qadah-nosh mein aa ai waiz

    joshish-e-shisha-o-saghar-shikni ka hai bayan

    munh toDe koi badmast tera ai waiz

    jam-e-mai daur mein la charKH-e-kuhan ki surat

    dekhta hai jo tujhe rang naya ai waiz

    TuT jae na kahin tere kaDe hathon se

    dil mera shisha-e-nazuk hai suna ai waiz

    loT ho tu jo na maston ki tarah kya mani

    munh laga bint-e-inab ko to zara ai waiz

    parsai to zara zahid-e-makkar ki dekh

    rahn-e-mai KHirqa-salus hua ai waiz

    chaDh ke mimbar pe na makkar darogh itna bol

    munh mein bu aati hai jhuTe ke suna ai waiz

    har-nafas 'shad' yahi qaul hai matwalon ka

    hum ne saunpa tujhe shaitan ko ja ai waiz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now