bolte bolte jab sirf zaban rah gae hum
bolte bolte jab sirf zabāñ rah ga.e ham
tab ishāre se batāyā ki kahāñ rah ga.e ham
hameñ itnī baḌī duniyā kā pata thoḌī thā
jahāñ ham tum huā karte the vahāñ rah ga.e ham
ham makāñ bhī the makīñ bhī the ki bāzār thā garm
phir ḳhasāra huā aur sirf makāñ rah ga.e ham
der tak ḳhālī makāñ ḳhālī nahīñ chhoḌte haiñ
aap tab the hī nahīñ aap ke haañ rah ga.e ham
ghar hī aisā thā ye kuchh dohrī masahrī vaalā
apnā rahne ke alāva bhī yahāñ rah ga.e ham
ek āvāz ke do hisse hue Thiik huā
tum vahāñ rah ga.e ḳhāmosh yahāñ rah ga.e ham
paañv darzoñ meñ Tikā.e hue sar raḳhnoñ meñ
is nihāñ-ḳhāne meñ rah rah ke ayaañ rah ga.e ham
bolte bolte jab sirf zaban rah gae hum
tab ishaare se bataya ki kahan rah gae hum
hamein itni baDi duniya ka pata thoDi tha
jahan hum tum hua karte the wahan rah gae hum
hum makan bhi the makin bhi the ki bazar tha garm
phir KHasara hua aur sirf makan rah gae hum
der tak KHali makan KHali nahin chhoDte hain
aap tab the hi nahin aap ke han rah gae hum
ghar hi aisa tha ye kuchh dohri masahri wala
apna rahne ke alawa bhi yahan rah gae hum
ek aawaz ke do hisse hue Thik hua
tum wahan rah gae KHamosh yahan rah gae hum
panw darzon mein Tikae hue sar raKHnon mein
is nihan-KHane mein rah rah ke ayan rah gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.